Woh Kaun Thi lyrics translation: VITAL SIGNS Woh Kaun Thi song texte and letras VITAL SIGNS Woh Kaun Thi tab, paroles and testo VITAL SIGNS Woh Kaun Thi Karaoke and Music Video - none yet
Woh kaun thi,
Tamaam shehr us kay husn mein gum tha,
Woh kya gayi,
Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha
Kisi say na milti,
Na woh baat karti,
Magar muskaraahat,
Nigaahon mein hoti
Woh aayi thi jaisay,
Kahin aasman say,
Kisi kehkashan say,
Na jaane kahan say,
Jaane kahan say
Woh kaun thi,
Tamaam shehr us kay husn mein gum tha,
Woh kya gayi,
Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha
Woh aanchal samaitay,
Kitabein uthaaye,
Chali jaarahi hai,
Nigahain chupaaye...
Bohat shoq se main,
Qareeb uskay jaata,
Woh nazrein dikhaati,
To kuch keh na paata,
Kuch keh na paata
Jaane kya tha un aankho mein,
Dil ki dil mein reh gayi
Woh kaun thi,
Tamaam shehr us kay husn mein gum tha,
Woh kya gayi,
Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha